Play It Now

Ae rab tujhse ab aur kuch nahi mangti hun main maut ka bas vo din chahti hun main thak chuki hun is zindagi se ab bas aaram karna chahti hun nahi chahti hun aisi zindagi jis mein bas khushi hawa ke jhonke ki tarah ek pal guzar jaata hai nahi chahati hun aisi zindagi jis mein gamek aisa mausam ban ke aata hai jo kabhi jaata nahi nahi chahti hun aisi zindagi jis mein apne apne nahi, na koi khushi hai, na hi kisi ki khushi mein shaamil hone ki bhi aas ho bas har baat pe apno ki berukhi hai thak chuki hun is tez raftar zindagi se ab bas aaram karna chahti hun bas maut ka vo din mangti hun
TopJokes.in