Play It Now

Ek ju-e-dard dil se jigar tak ravan hai aj pighala hua ragon mein ik aatish-fishan hai aj lab si diye hain ta na shikayat kare koi lekin har ek zakhm ki muh mein zaban hai aj tarikiyon ne gher liya hai hayat ko lekin kisi ka ru-e-hasin darmiyan hai aj jine ka waqt hai yahi marane ka waqt hai dil apni zindagi se bahut shadaman hai aj ho jata hun shahid har ahal-e-vafa ki sath har dastan-e-shauq meri dastan hai aj
TopJokes.in